"Bhatkhande swar-lipi-padhatti"

Bharat me sangeet ke 2 Mahan vibhuti hue-

 Vishnu narayan bhatkhande

Vishnu Digambar palushkar

In dono Mahan sangitagya ne anek kasht sah kr aur kathin parishram K sath sangeet k vikas evam prachar-prasar me bhut bda yog- daan diye.inhone anek sangeet-padhatti viksit ki.Inhone apne-apne sidhant ke anusaar 'swar-lipi padhatti' ka v nirman kiya  aur unhe viksit v kiya.

In swar lipi padhatti  ko "Bhatkhande swar lipi padhatti "ya "Palushkar -swar lipi padhatti " kahte hn. Swar lipi ke liye  swaro ke prakar, Taal- prakar, Gamak-Prakar, saptak-prakar, swaro ka thahraw, sawro ki barambarta, lay-prakar,laykariyan.... jaisi baato pr dhyan dena padta h.Inhi baato ko ek niyam ke antargat rakh kr Bhatkhande swar lipi ka nirman kiya gya h. Jo is prakar hn.-

  1. Bhatkhande-swarlipi-padhatti me shudhh-swaro ke liye koi chinh nhi lagega.e.g-shudhh gandhar= ga
  2. Swaro ke thahraw ke liye avagrah ka chinh lgega; jo english ke 'S 'ke saman h. e.g- S
  3. Kann swar  ke liye mool- swar ke uper kann lagne wale swar ko likha jayega.
  4. Taaliyan ok anko dwara darshaya jayega. e.g- 2nd taali - 2, 3rd taali-3 .
  5. Pahli (1st) taali arthat 'sum' ko × (cross) se hi dekha jayega. 
  6. Khaali ko '0' shunya se dikhaya jayega.
  7. Khadi lakir (|) se taal ke anusaar vibhag banaya  jayega. e.g.- 1 2 3 | 4 5 6 yhan 2 vibhag banaye gye.
  8. Meend ko dikhane ke liye dono swaro ke uper  se ardh-chandrakar chinh se hoda jayega.
  9. Theka ke tatha bandish ke  Bol ko matraa ke sath-sath dikhaya jayega, jo taal ke niyam anusaar hoga aur ye matraayen  v anko (numbers) dwara dikhai  jayegi. 
  10. Komal swar ke liye swar ke niche padi-lakir  ka chinh lgega. Eg. Komal gandhar = ga.
  11. Tivra swar ke liye swar ke uper khadi-lakir  ka chinh lagega. 
  12. Madhya-saptak ke swaro ke liye koi bindu chinh nhi lagega,lekin mandra-saptak ke swaro ke liye swar k niche bindu tatha taar-saptak ke swaro ke liye swaro ke uper bindu-chinh lagega.
  13. Ek matraa me swaro ke dikhane ke liye unhe niche se ulte ardh-chandrakar chinh se gher diya jayega. 
  14. Swar-lipi ke uper swar tatha uske niche bandish ke bol rahenge. Sabse niche taal-chinh honge.
  15. Ek sampoorn swar-lipi me pahle matraayen  hongi, uske niche swar, uske thik niche geet ke bol aur sabse niche taal-chinh honge.
    • Is prakar bhatkhande swar-lipi me raago ki bandishe likhi ya padhi ja sakti hn.🙏

Comments

Popular posts from this blog

राष्ट्रगान

Raago ke gaayan kaal:-