Bhartiya shashtriya jagat ke vidwan ka sanashipt parichay:-

 1. Swami Haridas:

      Bhartiya shashtriya sangeet ke mahan         guru , sant- gayak , swatatra sadhak , Tansen ke guru, anek raago aur bandisho ke janmdata.

2. Taansen:

     Mahan sangeet gayak, Akbar ke darbari gayak, swami haridas ke shishya, anek raago ke rachnakar.

3. Baiju bawra:

    Tansen ke samay ke gayak, Tansen ke saman hi pratibhawan gayak.

4. Vishnu digambar palushkar:

     Dakshin bharat ke sangeet -uddharak, suprasidhh sangeetagya evam gaayak, dakshin sangeet padhatti ke nirmata evam pracharak.

5. Vishnu narayan bhatkhande:

    vishnu digambar palushkar ke samkalin, Uttari sangeet padhatti ke nirmaan-karta, evam mahan sangeetgya.

6. Amir khusro:

    Swami haridas se bhi purv ke sangeetagya,

khilji vansh ke shasan -kaal me prasidh hone wale sangeetagya. Inhone tabla, sitaar jaise kai saajo(instruments) ka nirman kiya.Inhone kai raag evam gayan shaili banai- sahana raag, poorvi raag, yaman raag, tarana, khyal, chaturang, kawwali, ghazal etc.

7. Ustad Alauddin khan :

    Ek mahan sangeet  premi ,sangeet ki anek vidya me pakad rakhne wale ustad, sitaar-sarod-vaylin, bansuri jaise vadyo ke kushal wadak.Ravi shankar , Ali-akbar khan jaise mahan sangeetgya  ke guru.

8. Ravishankar:

    Suprasidhh sitaar vadak .

9. Onkarnath thakur:

   Mahan sangeetgya vishnu digambar ji ke mukhya shisya, adbht gayiki wale kramath sangeetagya  sangeet  sodhkarta.

10. Alla rakhha:

      Prasidh tabla vadak, prasidh tabla vadak ustad Jakir husain ke pita.

11. Ustad vismillah khan:

      Suprasidh shahnai vadak, shahnai jaise vadya ko shirsh tk pahuchane me inka bahut bda yogdan rha h. Hindi filmo me bhi inka shahnai vadan gunjta rha.

12. Pannalal ghos:

      Prasidh bansuri vadak, manohar bansuri-vadan karne wale sadhak.

13. Amjad ali khan:

     Prasidh sarod -vadak, vidwan sangeetagya, anek sodh karne wale, hindi filmo me bhi apna vadan kiya.

aise hi anginat nam hn, jinhone bhartiya shashtriya sangeet ke kshetra me apna yogdan diya aur yash failaya.Inhone sangeet me apaar -sewa ki.

Comments

Popular posts from this blog

Raago ke gaayan kaal:-

राष्ट्रगान