Paribhasha/Definition

1. Shruti:

     "Aisi surili dhwani jo ek dusre se alag- alag  suni aur pahchani ja sakti h;jo sunne me kano  ko  pyari lagti  ho shruti kahlati h."

Shrutiyon ki sankhya 22 hoti h .Inhi 22 shrutiyon me7 sudh swar aur 5 vikrit swar bante hue hn.

7 sudh swar: sa,re,ga,ma,pa,dha,ni. 

5 vikrit swar: re,ga,ma,dha,ni.

2. Swar:

      "Swar dhwaniyon k milne se bante hn ye surili hoti hn.Ye lagatar gunj wali aur apni jagah pr kuchh der tk sthir  rahne wali hoti hn."

3. Swar  ke bhed:

     Swar ke 2 bhed hote hn

     -Chal swar

      - Achal swar

"Jo swar apni mool jagah se ht jate ;jinka dusra roop v hota h,chal swar  kahlate hn."

Mool jagah se hatne wale swar hi vikrit swar  hote hn.

"Jo swar hamesha ek hi sthan pr ek hi roop me sthir hote hn;jinka dusra  koi Anya roop nhi hota achal swar kahlate hn".

Mool jagah pr bane rahne wale swar sodhh swar kahlate hn. 

4. Komal- vikrit swar:

    "Jo swar apni mool jagah se kuchh niche aa jate  hn aur apna nya roop banate  hn komal -vikrit swar kahlate  hn."

 Aise swar 4 hote hn-  re,ga,dh,ni.

5. Tivra-vikrit swar:

     "Jo  Swar apni mool jagah k kuchh uper chadh jati h aur apna nya roop  bna leti  h tivra-vikrit swar kahlate h."


 Aise swar ko likhne ke liye swar k uper khadi laker ka pryog kiya jata h.


6.  Sangeet/Music:

       "Sangeet  woh lalit-kla h,jiske antargat swar aur lay k madhyam se bhawnao ko shi  aviyakti hoti h."

      "Gayan vadan aur nritya  in teeno klaon k mishrit roop ko sageet kahte hn."

sangeet  me mukhya sthan gayan ka hi h.jiske liye sudhh uchharan aur bhaw ka hona jaruri h.

7. Naad:

 "Naad ka arth hota h "aawaj".

Aisi aawaj jiska upyog sangeet me sageet me  kiya jata h , naad kahlata h.

Naad k mukhya 2 bhed hote hn.

* Aahat naad

*Anahat naad

"Jo naad do vastuo k gharshan ya takrane se utpann hota h aahat naad kahlata h.Sabhi sageetatmak  naad aahat naad hi hote hn."

"Jo naad swatah hi utpann hote hnaur bahar kisi ko sunai nhi deta h,balki manav k bhitar se hi swaym gunj uthati h.Sadhna k kram me dhyan ki kisi bindu  pr sadhak ko sunai padta h, anahat naad kahlata h."

8. Vaadi:

      Vaadi ek prakar ka 'Swar-naam' h .ye kisi v raag me us raag ki pahchan ko banata h.

"vaadi swar kisi raag ka pramukh swar hota h,jiska pryog  raag me raag k anya swaro se adhik bar tatha adhik der tk hotah;jiske upyog se raag ki sundarta badhti h .Naad kahlata h."

9. Samvaadi: 

"samvaadi naam samvaad shabd se bna h.Yh sawar vaadi swar k sath milkar raag me samvaad bnata h."

10. Anuvaadi:

"Vaadi samvaadi ko chhod kr shes lagne wale anya swar raag k anuvaadi swar kahlate hn.

Aise swaro ki sankhya km-se-km 3 aur adhik-se-adhik 5 hoti hn.

11. Vivaadi swar:

   "Aisa swar jo raag me nhi lagta ho lekin jiska pryog raag me varjit v nhi ho , balki raag me kabhi-kabhi jiska pryog raag ki sundarta  badha deta h-Vivaadi swar kahlata h."

12. Saptak:

  "kramanusar 7 swaro k samooh ko saptak kahte hn."

sa, re, ga,ma,pa,dha,ni-ye 7 swar hi saptak ko pura karte hn.

Ek saptak  me kool 7 sudhh swar ya 5 vikrit swar hote hn.

13. Saptak k bhed:-

  *Mandra saptak:

      Jin saptak k swar madhya saptak k swaro k aadha nicha hota h ,inswaro ko likhne k liye unke niche bindu(.) diya jata h;use mandra  saptak kahte hn.

 * Madhya saptak:

       Mandra saptak aur Taar saptak k beech ka saptak madhya saptak kahlata h.Is saptak k swar hi sidhh swar kahlate hn.In swaro ko likhne k liye kisi v chinh ka upyog nhi hota h.

 * Taar saptak:

     jin saptak k swar adhik patle,halkeaur unche hote hn, jois saptak k swar madhya saptak k swa se thik  dogunauncha hota h Taar saptak kahlata h.

Taar saptak k swaro ko likhne k liye swaro k upe (.)bindu ka prayog hota h.


Comments

Popular posts from this blog

राष्ट्रगान

Raago ke gaayan kaal:-