Raag kise kahte hn.
'Raag'ek swar rachna h,jise shashtriya niyamanusar gaaya -bajaaya jata h.Raago ki utpatti Thaat se hoti h.Raag aisi rachna h jhaan kai swar aapas me milte hn aur ek sammilit prabhaw chhodte hn.
"Swaro ya dhwaniyon ki vishisht rachna jo swar aur varn se vibhushit ho kr maanav -chitt ko Anand pradaan kre, raag kahlaati h."
Sangeetagya Bharat k samay jaati-gaayan prachalit tha jo aaj k raag gaayan se milta-julta h.Unke baad 'sangeet viddwan MATANG k samay raag-paddhati prachalit hui;aur is prakar raag -gaayan ki niw padi.Aaj k sangeet me raag gaayan hi pramukh roop se prachalit h.
Raag ki visheshtaae.....
- Raag ki utpatti kisi-na-kisi Thaat se avaashya honi chaahiye.
- Raag me ranjakta ka hona aaavashyak h.
- Raag me nyuntam 5 aur adhiktam 7 swar hone chaahiye.
- Raag me shadaj(sa) swar kabhi warjit nhi hota.
- Raag me madhyam tatha pancham swar ek sath warjit nhi hote.
- Raag ka aaroh ya to avroh k brabar k swar-sankhya wala ho ya chhota ,lekin avroh se bda kabhi nhi.
Inhi niyamo k aadhar pr raag bante hn ya gaaye -bajaaye jaate hn.
Raag k aavashyak ang/taťtwa:
Kisi ek raag ko banane me ;unke aadhar jaise unka aaroh ,avroh,pakad,aalap,vaadi swar,anuvaadi swar,samvaadi swar,vivaadi swar,thaat aur samay - In sabka pramukh sthan hota h. Ye kisi raag k ghatak hote hn,jinke milne se raag ka nirmaan hota h.yhi raag k aavashyak ang kahlate hn.
Comments
Post a Comment