Posts

10 thaat ke kram badhh swar

  BILAWAL THAAT Sabhi swar sudhh prayog hote hn . aaroh - sa re ga ma pa dha ni sa avroh - sa ni dha pa ma ga re sa.               KALYAN THAAT  ma' tivra prayog hata h shesh swar sudhh prayag hote hn. aaroh -  sa re ga ma' pa dha ni sa  avroh - sa ni dha pa ma' ga re sa.              KHAMAJ THAAT  aaroh me sabhi swar sudhh prayog hote hn, avroh me komal ni  ka pryog hota h. aaroh - sa re ga ma pa dha ni sa  avroh - sa ni dha pa ma ga re sa .                     KAFI THAAT Is thaat me ga_ aur ni_ komal pryog hote hn, shesh swar sudhh prayog hote hn.  Aaroh - sa re ga_ ma pa dha ni_ sa  Avroh-sa ni_ dha pa ma ga_ re sa.                  BHAIRAW THAAT Is thaat me re_ aur dha_ Komal pryog hote hn, shesh swar sudhh prayog kiye jate hn.  Aaroh- sa re_ ga ma pa dha_ ni sa  Av...

Raago ke gaayan kaal:-

  Raag Bhairav        - Pratah kaal Raag Bhairavi        - pratah kaal Raag Ramkali        - pratah kaal Raag Hindola        - pratah kaal Raag Multani        - Madhyahn kaal Raag Sarang         - Dopahar me Raag Shree           - Suryast k samay(sharad ritu)  Raag yaman         - Ratri ka pratham prahar Raag Bhupali       - Ratri ka pratham prahar Raag bilawal        - Ratri ka pratham prahar Raag vihag         -  Ratri ka dwitiya prahar Raag desh           - Ratri ka dwitiya prahar Raag Malkosh     - Madhyaratri me(shitkalin) Rag wageshree   - Madhyaratri  Raag Deepak       - Ratri Raag kaafi           - Ratri( holi ...

Bhartiya shashtriya jagat ke vidwan ka sanashipt parichay:-

  1. Swami Haridas:       Bhartiya shashtriya sangeet ke mahan         guru , sant- gayak , swatatra sadhak , Tansen ke guru, anek raago aur bandisho ke janmdata. 2. Taansen:       Mahan sangeet gayak, Akbar ke darbari gayak, swami haridas ke shishya, anek raago ke rachnakar. 3. Baiju bawra:     Tansen ke samay ke gayak, Tansen ke saman hi pratibhawan gayak. 4. Vishnu digambar palushkar:       Dakshin bharat ke sangeet -uddharak, suprasidhh sangeetagya evam gaayak, dakshin sangeet padhatti ke nirmata evam pracharak. 5. Vishnu narayan bhatkhande:     vishnu digambar palushkar ke samkalin, Uttari sangeet padhatti ke nirmaan-karta, evam mahan sangeetgya. 6. Amir khusro:     Swami haridas se bhi purv ke sangeetagya, khilji vansh ke shasan -kaal me prasidh hone wale sangeetagya. Inhone tabla, sitaar jaise kai saajo(instruments) ka nirman kiya.Inhone kai raag evam gayan shaili banai- sahan...
"Bhatkhande swar-lipi-padhatti" Bharat me sangeet ke 2 Mahan vibhuti hue-  Vishnu narayan bhatkhande Vishnu Digambar palushkar In dono Mahan sangitagya ne anek kasht sah kr aur kathin parishram K sath sangeet k vikas evam prachar-prasar me bhut bda yog- daan diye.inhone anek sangeet-padhatti viksit ki.Inhone apne-apne sidhant ke anusaar 'swar-lipi padhatti' ka v nirman kiya  aur unhe viksit v kiya. In swar lipi padhatti  ko "Bhatkhande swar lipi padhatti "ya "Palushkar -swar lipi padhatti " kahte hn.  Swar lipi ke liye  swaro ke prakar, Taal- prakar, Gamak-Prakar, saptak-prakar, swaro ka thahraw, sawro ki barambarta, lay-prakar,laykariyan.... jaisi baato pr dhyan dena padta h.Inhi baato ko ek niyam ke antargat rakh kr Bhatkhande swar lipi ka nirman kiya gya h. Jo is prakar hn.- Bhatkhande-swarlipi-padhatti me shudhh-swaro ke liye koi chinh nhi lagega.e.g-shudhh gandhar= ga Swaro ke thahraw ke liye avagrah ka chinh lgega; jo english ke 'S 'k...

Taal kise kahte hn?

Alankaar    Alankaar ka shabdik arth hota h- Aabhushan. sangeet me abhushan  ka arth h -sajawat. "Aisa swar-samooh jo niyamanusar hone k sath-sath raago ya geeton ko sajaane k kaam aaye,Alankaar kahlaata h." . Alankaar anek hote hn. . Yh aaroh-avroh k roop me hota h. . Alankaar abhyas se hi sageet  shiksha ki shuruaat hoti h. . Alankaar abhyas jitna aavashyak swaro ko samajhne k liye h,utna hi gale ki taiyari k liye v. . Sangeet  k prati ruchi jagaana k liye v alankaar mahatwapurna h. =Aaroh- sa re ga,re ga ma,ga ma pa,ma pa dha,pa dha ni,dha ni sa*. =Avroh- sa*ni dha,ni dha pa,dha pa ma,pa ma ga,ma ga re,ga re sa. . kuchh aise hi saje roop me hote hn anek alankar.
Varna kise kahte hn. Swaro ko anek prakar se gaane ki kriya ko Varna kahte hn. Varna 4 prakar k hote hn:- Sthayi -varna:   Kisi swar ko agar bar-bar gaaya-bajaya  jaay,to woh kriya Sthayi -varna kahlaati h.  Eg.sasa, rere, gaga,mama....... Aarohi-varna:  Madhya- sa swar se madhya-ni swar tk  ke antargat kramshah gaane-bajaane ki kriya ko Aarohi varna kahte hn.                       Sa,re,ga,ma,pa,dha,ni. Avrohi varna- Taar -sa. Swar se madhya -re swar tk k swaro ko gaane-bajaane ki kriya   Avrohi varna kahlaati h. eg.sa., ni,dha,pa,ma,ga,re.. Sanchaari varna:  Uprokt teeno varno k mishran ko sanchaari varna kahte hn.