Posts

Showing posts from February, 2023

Bhartiya shashtriya jagat ke vidwan ka sanashipt parichay:-

  1. Swami Haridas:       Bhartiya shashtriya sangeet ke mahan         guru , sant- gayak , swatatra sadhak , Tansen ke guru, anek raago aur bandisho ke janmdata. 2. Taansen:       Mahan sangeet gayak, Akbar ke darbari gayak, swami haridas ke shishya, anek raago ke rachnakar. 3. Baiju bawra:     Tansen ke samay ke gayak, Tansen ke saman hi pratibhawan gayak. 4. Vishnu digambar palushkar:       Dakshin bharat ke sangeet -uddharak, suprasidhh sangeetagya evam gaayak, dakshin sangeet padhatti ke nirmata evam pracharak. 5. Vishnu narayan bhatkhande:     vishnu digambar palushkar ke samkalin, Uttari sangeet padhatti ke nirmaan-karta, evam mahan sangeetgya. 6. Amir khusro:     Swami haridas se bhi purv ke sangeetagya, khilji vansh ke shasan -kaal me prasidh hone wale sangeetagya. Inhone tabla, sitaar jaise kai saajo(instruments) ka nirman kiya.Inhone kai raag evam gayan shaili banai- sahana raag, poorvi raag, yaman raag, tarana, khyal, chaturang, kawwali, ghazal etc. 7. Ustad Alauddin khan :
"Bhatkhande swar-lipi-padhatti" Bharat me sangeet ke 2 Mahan vibhuti hue-  Vishnu narayan bhatkhande Vishnu Digambar palushkar In dono Mahan sangitagya ne anek kasht sah kr aur kathin parishram K sath sangeet k vikas evam prachar-prasar me bhut bda yog- daan diye.inhone anek sangeet-padhatti viksit ki.Inhone apne-apne sidhant ke anusaar 'swar-lipi padhatti' ka v nirman kiya  aur unhe viksit v kiya. In swar lipi padhatti  ko "Bhatkhande swar lipi padhatti "ya "Palushkar -swar lipi padhatti " kahte hn.  Swar lipi ke liye  swaro ke prakar, Taal- prakar, Gamak-Prakar, saptak-prakar, swaro ka thahraw, sawro ki barambarta, lay-prakar,laykariyan.... jaisi baato pr dhyan dena padta h.Inhi baato ko ek niyam ke antargat rakh kr Bhatkhande swar lipi ka nirman kiya gya h. Jo is prakar hn.- Bhatkhande-swarlipi-padhatti me shudhh-swaro ke liye koi chinh nhi lagega.e.g-shudhh gandhar= ga Swaro ke thahraw ke liye avagrah ka chinh lgega; jo english ke 'S 'k

Taal kise kahte hn?

Alankaar    Alankaar ka shabdik arth hota h- Aabhushan. sangeet me abhushan  ka arth h -sajawat. "Aisa swar-samooh jo niyamanusar hone k sath-sath raago ya geeton ko sajaane k kaam aaye,Alankaar kahlaata h." . Alankaar anek hote hn. . Yh aaroh-avroh k roop me hota h. . Alankaar abhyas se hi sageet  shiksha ki shuruaat hoti h. . Alankaar abhyas jitna aavashyak swaro ko samajhne k liye h,utna hi gale ki taiyari k liye v. . Sangeet  k prati ruchi jagaana k liye v alankaar mahatwapurna h. =Aaroh- sa re ga,re ga ma,ga ma pa,ma pa dha,pa dha ni,dha ni sa*. =Avroh- sa*ni dha,ni dha pa,dha pa ma,pa ma ga,ma ga re,ga re sa. . kuchh aise hi saje roop me hote hn anek alankar.
Varna kise kahte hn. Swaro ko anek prakar se gaane ki kriya ko Varna kahte hn. Varna 4 prakar k hote hn:- Sthayi -varna:   Kisi swar ko agar bar-bar gaaya-bajaya  jaay,to woh kriya Sthayi -varna kahlaati h.  Eg.sasa, rere, gaga,mama....... Aarohi-varna:  Madhya- sa swar se madhya-ni swar tk  ke antargat kramshah gaane-bajaane ki kriya ko Aarohi varna kahte hn.                       Sa,re,ga,ma,pa,dha,ni. Avrohi varna- Taar -sa. Swar se madhya -re swar tk k swaro ko gaane-bajaane ki kriya   Avrohi varna kahlaati h. eg.sa., ni,dha,pa,ma,ga,re.. Sanchaari varna:  Uprokt teeno varno k mishran ko sanchaari varna kahte hn.

Aa

 " Aalap" kise kahte hn. Kisi v raag me pryog hone wale swar-samooh jo raag k swaro ko spasht karte hn,Aalap kahlaate hn. Pakad sankshipt roop se raag ko spasht karte hn jab ki aalap vistar se raag ka warnan karte hn;isliye ye raag- vistar v kahlate hn. Kisi v raag me anek aalap hote hn.Inme raag k saare swar prayog kiye jaate hn,jo raag k niyam anusaar hote hn. Aalap 2 prakar k hote hn:- 1. Anibaddh aalap 2. Nibaddh  aalap Raag gayan karte samay,jb bandish  shuru nhi hoti; kiye  jaane wale aalap ko 'Anibaddh aalap' kahte hn. Bandish ke saath kiye  jaane wale aalap ko 'Nibaddh aalap 'kahte hn.

Raag kise kahte hn.

 'Raag'ek swar rachna h,jise shashtriya niyamanusar gaaya -bajaaya jata h.Raago ki utpatti Thaat se hoti h.Raag aisi rachna h jhaan kai swar aapas me milte hn aur ek sammilit  prabhaw chhodte hn. "Swaro ya dhwaniyon  ki vishisht rachna jo swar aur varn se vibhushit ho kr maanav -chitt ko Anand pradaan kre, raag kahlaati  h." Sangeetagya Bharat k samay jaati-gaayan prachalit tha jo aaj k raag gaayan se milta-julta h.Unke baad 'sangeet viddwan MATANG k samay raag-paddhati prachalit hui;aur is prakar raag -gaayan ki niw  padi.Aaj k sangeet me raag gaayan  hi pramukh roop se prachalit h.  Raag ki visheshtaae..... Raag ki utpatti kisi-na-kisi  Thaat se avaashya  honi chaahiye. Raag me ranjakta ka hona aaavashyak h. Raag me nyuntam 5 aur adhiktam 7 swar hone chaahiye. Raag me shadaj(sa) swar kabhi warjit nhi hota. Raag me madhyam tatha pancham swar ek sath warjit nhi hote. Raag ka aaroh ya to avroh k brabar k swar-sankhya wala ho ya chhota ,lekin avroh se bda kabhi nhi.

Saptak ka Purvang-Uttrang:-

 There are 2 parts of the octave - one is the first part or the first part, which is called the first part. The second part after that or the part of the north, which is called Uttarang. 14. Aaroh:       The literal meaning of ascension is in the desired order. It is a part of raga. Any V raga is composed of swaras only and the action of aaroh (ascension) will be swaras only.   " Jb kisi swar se gaana ya bhajana shuru kr kramshah uske aage ya upar k swaro k taraf badha jaay, untuk menggunakan aaroh kathe hn." 15. Avroh:       The literal meaning of avroh is utarna. Ise avrohan v kathe hn.     “Jb kisi swar se gaana ya bajna shuru kr in swara k neeche ki taraf lauta jay to use avroh kathe hn.” 16. Pakad:       Meaning of the word Pakad    " The main aalaap is made of the swaras used in a raag, which makes the bridge of the raag clear; it is called the pakad of the raag."  Pakad me raag k purn swaroop ki jhalak milti h. 16. This:       "Kisi raag ko spast karne,

Paribhasha/Definition

1. Shruti:      "Aisi surili dhwani jo ek dusre se alag- alag  suni aur pahchani ja sakti h;jo sunne me kano  ko  pyari lagti  ho shruti kahlati h." Shrutiyon ki sankhya 22 hoti h .Inhi 22 shrutiyon me7 sudh swar aur 5 vikrit swar bante hue hn. 7 sudh swar: sa,re,ga,ma,pa,dha,ni.  5 vikrit swar: re,ga,ma,dha,ni. 2. Swar:       " Swar dhwaniyon k milne se bante hn ye surili hoti hn.Ye lagatar gunj wali aur apni jagah pr kuchh der tk sthir  rahne wali hoti hn." 3. Swar  ke bhed:      Swar ke 2 bhed hote hn      -Chal swar       - Achal swar "Jo swar apni mool jagah se ht jate ;jinka dusra  roop v hota h,chal swar  kahlate hn." Mool jagah se hatne wale swar hi vikrit swar  hote hn. "Jo swar hamesha ek hi sthan pr ek hi roop me sthir hote hn;jinka dusra  koi Anya roop nhi hota achal swar kahlate hn". Mool jagah pr bane rahne wale swar sodhh swar kahlate hn.  4. Komal- vikrit swar:     "Jo swar apni mool jagah se kuchh niche aa jate  hn aur apna

Classic music

* Classic music/shashtriya sangeet Classic music me vishesh niymo  ka palan karna padta h .lay aur taal ka sunishchit hone ka khyal rakhna hota h,raag ki chalan kya h isme  kaun kaun si swaro ka upyog kare;in sari baato ka dhyan rakhna padta h. * Bhaw sangeet  Bhaw sangeet  me koi niymit bandhan nhi  hota aur na hi koi shashtra  hota h. Bhaw sangeet ka mukhya uddeshya kaano ko priya lagna  hota h. Filmi jagat ki sangeet  ko hm Bhaw sangeet ki shreni  me hi rakhte  hn.